Saagar Jesi Aankhon (исполнитель: ● KISHOR KUMAR)

Ho, chehra hai ya chand khila hai
Zulf ghaneri shaam hai kya
Saagar jaisi aankhon vaali
Ye to bataa tera naam hai kyaa

Tu kya jaane teri khaatir
Kitna hai betaab ye dil
Tu kya jaane dekh raha hai
Kaise kaise khwaab ye dil
Dil kehta hai tu hai yahaan to
Jaata lamha tham jaaye
Waqt ka dariya behte behte
Is manzar mein jam jaaye
Toone deewana dil ko banaaya
Is dil par ilzaam hai kya
Saagar jaisi aankhon vaali
Ye to bataa tera naam hai kya...

Ho, aaj maein tujhse door sahi
Aur tu mujhse anjaan sahi
Tera saath nahin paaun to
Khair tera armaan sahi
Ye armaan hain shor nahin ho
Khamoshi ke mele hon
Is duniya mein koi nahin ho
Hum dono hi akele hon
Tere sapne dekh raha hoon
Aur mera ab kaam hai kya
Saagar jaisi aankhon vaali
Ye to bataa tera naam hai kya...
Послушать/Cкачать эту песню
Mp3 320kbps на стороннем сайте

Открытка с текстом :
Удобно отправить или распечатать
Создать открытку
У нас недавно искали песни:
Внули m()estro  Дилема-дым  Ты выбрал сам  По штрихкоду  Ритмы дыхания  ТилЭкс-умоляй 
О чем песня
● KISHOR KUMAR - Saagar Jesi Aankhon?
2020 © Tekstovoi.Ru Тексты песен