Dulhe Ka Sehra (исполнитель: Биение сердца Dhadkan (2000))

Aah aah aah aah aah.........
 Shehnaiyo kee sada keh rahee hai
 Khushee kee mubarak ghadee aa gayee hai
 Sajee surkh jodee me chand see dulhan
 Jamin peh falak se paree aa gayee hai
 Aah aah aah aah aah......... - (2)
 Aah aah aah aah aah......... aah aah aah - (2)
 Aah aah aah aah aah.........
 
 (Dulhe kaa sehra suhana lagta hai - 2
 Dulhan kaa toh dil divana lagta hai) - (2)
 Palbhar me kaise badalte hain rishte - (2)
 Abb toh har apna begana lagta hai
 (Dulhe kaa sehra suhana lagta hai
 Dulhan kaa toh dil divana lagta hai) - (2)
 
 (Sat phero se bandha janmo kaa yeh bandhan
 Pyar se joda hai rab ne prit kaa daman) - (2)
 Hain nayee rasme, nayee kasme, nayee uljhan
 Honth hai khamosh, lekin keh rahee dhadkan
 Dhadkan dhadkan dhadkan........ - (2)
 Dhadkan meree dhadkan, dhadkan teree dhadkan - (2)
 Dhadkan dhadkan dhadkan........ - (2)
 Dhadkan meree dhadkan, meree dhadkan
 Mushkil ashko ko chhupana lagta hai - (2)
 Dulhan kaa toh dil divana lagta hai
 Palbhar me kaise badalte hain rishte
 Abb toh har apna begana lagta hai
 (Dulhe kaa sehra suhana lagta hai
 Dulhan kaa toh dil divana lagta hai) - (2)
 
 Mai teree baho ke jhule me palee babul
 Ja rahee hu chhodke teree galee babul
 Mai teree baho ke jhule me palee babul - (3)
 Ja rahee hu chhodke teree galee babul
 Khubsurat yeh jamane yad aayenge
 Chahke bhee ham tumhe naa bhul payenge
 Muskhil, mushkil, mushkil daman ko churana lagta hai
 Dulhan kaa toh dil divana lagta hai
 Mushkil daman ko churana lagta hai
 Dulhan kaa toh dil divana lagta hai
 Palbhar me kaise badalte hain rishte
 Abb toh har apna begana lagta hai
 (Dulhe kaa sehra suhana lagta hai
 Dulhan kaa toh dil divana lagta hai) - (6)
 Dhadkan dhadkan dhadkan........ - (4)
Послушать/Cкачать эту песню
Mp3 320kbps на стороннем сайте

Видео к песне:
Открытка с текстом :
Удобно отправить или распечатать
Создать открытку
У нас недавно искали песни:
Alter Ego 
О чем песня
Биение сердца Dhadkan (2000) - Dulhe Ka Sehra?
2020 © Tekstovoi.Ru Тексты песен