04 Grahan (исполнитель: TE3N (2016) / Vishal Dadlani)
Khushi ke jaltein sooraj ko, Sukoon ke ujhale ghumbaz ko, Buri nazaro ka nighal gaya grahan. Ashar thi uski saazish mein, Jo saiyaro ki gardish mein, Zaher ki tarha thaher gaya grahan. Khushi ke jaltein sooraj ko, Sukoon ke ujhale ghumbaz ko, Buri nazaro ka nighal gaya grahan. Woh aafat hi kuch aisi thi, Ki fitrat dhi-makh jaisi thi, Jo til, til karke utar gaya grahan. Nazaro ki aage dhwandh hai, Sab darwaze bandh hain, Jootha lage har dilasa… Haaf rahi aawaaz hai, Pardein ke pichhe raaz hai, Hota nahi kyun khulasa. Muskurahat sehmi hain Gham ki gaihma ghemi hain Duaaen saari nikali kyun bewafaa. Raat katti karwat mein, Aansu chhupa ke silwat mein, Subhaah ki kirane bhi lagti hai khafa. Qayamat bhar ke daman mein, Kisi ke ghar ke aangan mein, Qeher ki tarha utar gaya grahan. Nazaron ki aage dhvandh hain Sab darwaze bandh hain Jootha lage har dilasaa… Haaf rahi aawaaz hai, Pardein ke pichhe raaz hai, Hota nahi kyun khulasaa…