Taare Zameen Par (из к/ф "Звёздочки на земле") (исполнитель: Mera Jahan)
Dekho Inhein Yeh Hain Aas Ki Boondein Patton Ki God Mein Aasmaan Se Koodein Aandayee Lein Phir Karwat Badal Kar Nazuk Se Moti Hans De Phisal Kar Kho Na Jaaye Ye Taare Zameen Par Yeh To Hain Sardi Mein Dhoop Ki Kirane Utarein Jo Aangan Ko Sunhera Sa Karne Mann Ke Aandheron Ko Roshan Sa Kar Dein Thithurti Hatheli Ki Rangat Badal Dein Kho Na Jaaye Ye Taare Zameen Par Jaise Aankhon Ki Dibiya Mein Nindiya Aur Nindiya Mein Meetha Sa Sapna Aur Sapne Mein Mil Jaaye Farishta Sa Koi Jaise Rangon Bhari Pichkari Jaise Titliyan Phoolon Ki Kyari Jaise Bina Matlab Ka Pyara Rishta Ho Koi Yeh To Aasha Ki Lehar Hain Yeh To Ummeed Ki Sehar Hain Khusiyon Ki Nehar Hain Kho Na Jaaye Ye Taare Zameen Par Dekho Raaton Ke Seeney Pe Yeh Toh Jhilmil Kisi Lau Se Ugey Hain Yeh To Amboya Ki Khusboo Hain Baagon Se Beh Chale Jaise Kaanch Mein Choodi Ke Tukde Jaise Khiley Khiley Phoolon Ke Mukhdey Jaise Bansi Koi Bajaye Pedon Ke Taley Yeh To Jhonke Hain Pawan Ke Hain Yeh Ghungharoo Jeewan Ke Yeh To Sur Hain Chaman Ke Kho Na Jaaye Ye Taare Zameen Par Muhaley Ki Raunak Galiyan Hain Jaise Khilney Ki Zid Par Khaliyan Hain Jaise Muthi Mein Mausam Ki Jaise Hawayein Yeh Hain Buzurgon Ke Dil Ki Duwayein Kho Na Jaaye Ye Taare Zameen Par Kabhi Baatein Jaise Dadi Nani Kabhi Chalkein Jaise Mum Mum Paani Kabhi Ban Jaaye Bhole Sawaalon Ki Jhadi Sannatey Mein Hansee Ke Jaise Sooney Hothon Pe Khushi Ke Jaise Yeh To Noor Hain Barse Gar Teri Kismat Ho Badi Jaise Jheel Mein Lehraye Chanda Jaise Bheed Mein Apne Ka Kandha Jaise Manmauji Nadiya Jhaag Udaye Kuch Kahe Jaise Baithe Meethi Si Jhapki Jaise Pyar Ki Dheemi Si Thapki Jaise Kaanon Mein Sargam Hardam Bajti Hi Rahe Jaise Barkha Udati Hai Bundiya...